hai ye ahbab ko israr ki holi khelun
toD dun aaj to main zohd-o-taqaddus ka fusun
mast ho kar main piyun jam-e-sharab-e-hasti
hama-tan baada-e-ishrat ke nashe mein jhumun
apni sanjida rawish aur udasi chhoDun
gham ke asnam ko but-KHana-e-dil mein toDun
jal uThen gham ke shabistan mein masarrat ke charagh
barbat-e-dil ke har ek tar ko phir se joDun
mujh ko bahlaenge kya ahl-e-tarab ke naghme
aur tyauhaar ki rangin KHushi ke lamhe
main ne har naqsh-e-masarrat ko daba rakkha hai
aur dekhe hain hasin daur ke sundar sapne
suni suni nazar aati hai bisat-e-hasti
na kahin shisha-o-saghar na surur-o-masti
chashm-e-muflis mein larazte hue ashkon ke charagh
qalb-e-nadar hai jaise koi ujDi basti
aaj insan ka insan lahu pita hai
aaj tahzib ka sultan yunhi jita hai
dewta jabr pe rawan ke hirasan jaise
daman-e-arman ko nadar yunhi sita hai
aaj insan hua makr-o-dagha ka daftar
qalb-e-zardar hai ehsas-e-KHudi ka KHugar
be-KHabar ho ke gharibon ki dabi aahon se
aadmi kibr-o-raunat ka bana hai paikar
holiyan khelte hain KHun-e-bashar se munim
apne aamal pe hota nahin insan nadim
aah aflas se Thukrai jawani ka shabab
fikr ki dhup se larzan hai misal-e-mujrim
qalb-e-mahkum hai is daur mein sunsan dayar
ho gaya hai dil-e-majbur dukhon se bezar
kya na aaega kabhi dahr mein parhalad ka daur
aag holi ki kisi roz banegi gulzar
mutmain aaj na duniya ka makin hai koi
dahr mein kibr se KHali na jabin hai koi
aaj zardar bana baiTha hai hiranyakashyap
aah is daur mein dam-saz nahin hai koi
har taraf kibr-o-raunat ke sulagte hain alaw
har taraf zist ke gulshan mein hai shoalon ka jamaw
aaj phir holika parhalad ko le baiThi hai
phir se is jalti hui aag ko gulzar banao
phir badalne hain mujhe bekas-o-majbur ke bhag
aaj bhi Daste hain nadar ko zardar ke nag
jazb-e-ehsas ke shoalon ki tapish se ek din
zar ki lanka mein laga dena hai ek bar phir aag
Nazm
Holi khelne ki farmaish par
kanval Dibaivi