pahle zamana aur tha mai aur thi daur aur tha
wo boliyan hi aur thin wo Toliyan hi aur thin, wo holiyan hi aur thin
lekin mere pir-e-mughan
kal to naya andaz tha
ek daur ka tha KHatma ek daur ka aaghaz tha
tere wafadaron ne jab khelin gulabi holiyan
nikle bana kar Toliyan
hanste chale gate chale
apne gulabi rang se duniya ko nahlate chale
masjid se munh moDe hue
mandir ka sang-e-astan chhoDe hue
girja se katrae hue
jaise ki hon ruhaniyat ki zindagani hi se ghabrae hue
daur-e-wafadari ka ye anjam tha
fikr-e-gunahgari ka taza dil-ruba paigham tha
tere hi kuche mein ye sab ahd-e-wafa toDe gae
rishte nae joDe gae
aur phir gunahgaron ne kya rindana hangame kiye
us waqt un ko yaad tha bas ek tarsana tera
muflison nadaron ko lalchana tera
jab mai-kade ki god mein
tere jafa teri saza ke nam par saghar chale
sukhe hue kase labaalab bhar chale
sab apne lab tar kar chale
phir toD din wo pyaliyan jin mein sada pi aae the
shishe chhana chhan chhan chhana chhan TuTte
aur rind lazzat luTte
TuTe hue shishon ka ek ambar tha
shishon ke is ambar mein ek wo bhi kohna jam tha
jis ko sikandar ke qawi haikal jawan
bhage the poras ki zamin ko chhoD kar
un mein wo kase bhi to hain jin ko arab le aae the
apni aba se Dhanp kar
pine se pahle dekhte the mohtasib ko jhank kar
lekin kabhi
pine se baz aate na the fateh jo the
un mein hain aise jam bhi
jin par paThanon ke qawi hathon ke dhundle se nishan
kuchh aaj bhi maujud hain
aur un nishanon mein hai KHun maftuh hindustan ka
aur un mein hain wo jam bhi jin ko mughal le aae the
tatar se qandhaar se kabul se rukna-baad se
maftuh hindustan mein
jin ko wo apne qasr-e-alishan mein chhalkate rahe
teghon se khankate rahe
aur wo hasin nazuk subuk halki surahi kis ki hai
paris ke mai-KHanon mein ye mashhur thi
laya tha ek tajir ise jo baad mein fateh bana
ye halke shishon ke gilas aur ye nae halke se paig
jin par likha hai ye bane the mulk-e-inglistan mein
aur haal ki sadiyon mein chalte rahe
pine ko mil jati thi pi lete the hum
lekin tahi-dasti ka ye aalam tha dil jalte rahe
hum aaj ghabra hi gae
aur un sabhi shishon ko chaknachur kar Dala wufur-e-josh mein
chhan chhan chhana chhan toD kar
jaise ki barbaadi ki dewi chham-chhama-chham nachti
holi manane ke liye mai-KHane mein aa hi gae
TuTe hue shishon ke is ambar par
hum ne jalai aag yun
zardusht ka pakiza dil sachchaiyon par hans diya
jaise ki ye kahne laga
jalne do jalne do yunhi shishe pighalne do yunhi
tere wafadaron ne yun pir-e-mughan
shab bhar jalain holiyan
nare wo mastane lage is josh mein
dil gir paDe ehsas ki aaghosh mein
aur bol uThe taslim ai pir-e-mughan jate hain hum
kal phir palaT kar aaenge
us waqt is mai-KHane mein saman honge dusre
tere purane zehn ke mear toDe jaenge
tamir-e-nau ki jaegi
lekin hamare sal-KHurda mehrban pir-e-mughan
tujh ko bura lagta hai kyun
ghairon ka kya tera bhi kya
ye mai-kada hum sab ka hai panchayti
tu kya hai tera KHauf kya
kah to diya pir-e-mughan kal palaT kar aaenge
hargiz na hum baz aaenge
kis ko Daraata hai ki tum is ki saza pa jaoge
gate the hum gate hain hum gaenge hum
hargiz na baz aaenge hum
jhelenge jite jaenge
pairon mein hai zanjir lekin TuT bhi sakti hai ye
han aaj hasti qaid hai kal chhuT bhi sakti hai ye
gane de gane de hamein
dhumen machane de hamein
shishe ko shishe se laDane de hamein
chhan-chhan-chhana-chhan ki sada
baDhne de baDhne de abhi
hum mast o be-KHud nachte gate jalate toDte
hanste rahen chalte rahen
aur tu bhi KHud pir-e-mughan
holi ke naghme san zara aur dekh apni aankh se
tere wafadaron ne kya khelin gulabi holiyan
munh mai-kade se moD kar holi ki ye Toli chali
gulzar mein
sabze lachakti Daliyan gunjaan, sundar jhaDiyan
pani ki sinchi kiyariyan, kanTon mein chubhti pattiyan
ye sab sahi lekin yahan wo shai kahan
jis ke liye mashhur hai angur-e-nab
han kya kaha pir-e-mughan
talwon ke niche phul hain in mein se do ek chun bhi lun
KHali hain gul-daste tere
tujh ko nahin malum abhi
KHali ye gul-daste tere KHali hi rah jaenge ab
phulon ne Thani hai ki shaKHon hi pe mar jaenge ab
aur tere kamron mein wo na aaenge ab
munh-band kaliyan ab kahan
jo apni sundar mohni muskan kar den raegan
aur apna gulshan chhoD den sine mein KHushbuen liye
aur ajnabi mahaul mein
taq-e-nazar ki kanpti zinat banen
kaliyon ke munh ab khul chuke munh-band kaliyan ab kahan
kaliyan kahan ye phul hain
KHak-e-chaman ki god mein aaram-e-jaan ye phul hain
aatish-zaban ye phul hain
aur dekh tu ye phul kitne shoKH hain
jo TuT kar shaKHon se gir jate hain teri rah mein
ai dil-kash pir-e-mughan
ye chahte hain rok den gulzar mein rahen teri
tere liye chaara hi kiya ab rah gaya
in be-haya phulon ki aankhon ka to pani bah gaya
ab hain ye un ki juraten rokengi tere raste
tu bhi KHuda ke waste
in ko kuchal de pis de
warna KHuda-na-KHwasta
ye rok hi len rasta
kaliyan nahin kanTe hain ye
kanTon se bhi bad-tar hain ye nashtar hain ye KHanjar hain ye
gulzar mein tere qadam kuchh aaj to aae nahin
tu ne unhin sabzon pe ki hai mai-kashi
sadiyon se tera daur hai
gulzar par hai haq tera
tu Dar gaya pir-e-mughan
kitna bhayanak KHwab tha
tabir kuchh bhi ho magar
tere wafadaron ne kal
kis aan se kis ban se kis shan se
khelin gulabi holiyan
Nazm
Holi
Ali Jawwad Zaidi