dhundlai hui sham thi
lasai hui si
aur waqt bhi basi tha main jab shahr mein aaya
har shaKH se lipTe hue sannaTe khaDe the
diwaron se chipki hui KHamoshi paDi thi
rahon mein nafas koi na parchhain na saya
un galiyon mein kuchon mein, andhera na ujala
darwazon ke paT band the, KHali the dariche
bas waqt ke kuchh basi se TukDe the, paDe the
main ghumta phirta tha sar-e-shahr akela
darwazon pe aawaz lagata tha, koi hai?
har moD pe ruk jaata tha shayad koi aae
lekin koi aahaT, koi saya bhi na aaya
ye shahr achanak hi magar jag paDa hai
aawazen hirasat mein liye mujh ko khaDi hain
aawazon ke is shahr mein main qaid paDa hun
Nazm
Hirasat
Gulzar