go KHak ho chuka hai hindostan hamara
phir bhi hai kul jahan mein palla garan hamara
munh tak raha hai ab tak sara jahan hamara
hai nam kishwaron mein wird-e-zaban hamara
zarKHez hai sarasar ye gulistan hamara
hai tair-e-tilai hindostan hamara
bhaarat mein dekhte the hum sanaten jahan ki
mashhur thi jahan mein karigari yahan ki
wo baat hindiyon ne ghairon ke darmiyan ki
jis par jhuki hai gardan amboh-e-sarkashan ki
milta tha ilm-o-fan mein ham-sar kahan hamara
hai tair-e-talai hindostan hamara
taslim kar rahe hain espen aur japan
sab mante hain loha german france-o-yunan
america mein hai charcha is mulk ka numayan
bhaarat ki saltanat par bartaniya hai nazan
uncha hai aasman se ye aastan hamara
hai tair-e-tilai hindostan hamara
parbat ki choTiyan hain darban hamare dar ki
daman mein jis ke pinhan kanen hain sim-o-zar ki
gang-o-jaman pe jis dam sayyaad ne nazar ki
sarsabz wadiyon se is ki nazar na sar ki
kya ghairat-e-iram hai ye bostan hamara
hai tair-e-tilai hindostan hamara
paida kiye the jis ne arjun kanad gautam
aaghosh mein pale the jis ki byas-o-bikram
godi mein jis ki khele the bhim ram bhisham
jin ke sabab se ab tak hai hindiyon mein dam-KHam
wo mulk-e-be-badal hai jannat-nishan hamara
hai tair-e-tilai hindostan hamara
Nazm
Hindostan
Aaftab Rais Panipati