nadamat ki kaDi dhup mein nahae hue
zist ke is kaDe kos paDaw mein
jahan sipiyan raushni ke duKHul ke liye dariche khola nahin kartin sochta hun
is bhari duniya mein tanha khaDa
KHakistar hasraton ki ungli thame kumhlae hue
arman yun bhi nikal sakte the motiyon ki chamak-damak ki chah mein dar-ba-dar phire baghair
rishton ke tane-bane toD kar
zaif-o-nazar man bap ki muntazir aankhon ko pichhe chhoD ke
main ne is baDe shahr ke chakachaund ke pichhe bhagte bhagte
kya khoya hai kya paya hai
saundhi miTTi ki mahak taza gandum ki KHushbu kuen ka ThanDa pani
mamta ka aanchal man-jaiyon ka pyar bhaiyon ki roab jamane wali mar
kitna tarsati hain mujhe aaj
kis qadar ghabraata tha main KHuban se nazar milate hue
aaj aD jata hun main
sharm aati nahin mujhe apne gunah chhupate hue
un sab ka mujrim hun main
apne zamir ke kaTghare mein khaDa hun apni hi ruh ko muqayyad kiye
hijrat ki salib apne na-tawan kandhon par uThae
kilen sath rakhta hun main
koi hai jo aa kar mujhe suli par chaDhae
Nazm
Hijrat ki salib
Perwaiz Shaharyar