اردو हिंदी
Hercules aur paTe-KHan ki circus | Shaahi Shayari
hercules aur paTe-KHan ki circus

Nazm

Hercules aur paTe-KHan ki circus

Husain Abid

;

ye be-hangam be-Dhab duniya
har mutanasib soch ko

puja ke prashad se farba kar deti hai
ya

tangi ki chakki se
wo KHurak khilati hai

soch ki aankhen dhans jati hain
kan laTak jate hain

kisi siDaul KHayal ko
mahbuba nahin milti

hasid bhul-bhulayyan use
jawan hone se pahle buDha kar deti hain

hercules aur paTe-KHan ki
circus se bach kar

KHalis danish ke raste par
jo gung karne wala

sarki rag phaTne se
rahi-e-mulk-e-adam hua

bas ek shoabada-baz hai
jab wo hath ki ek jumbish se

batn-e-hawwa se
sikka paida karta hai

to be-hangam be-Dhab duniya
taliyan piTte piTte

hath suja leti hai