saje to kaise saje qatl-e-am ka mela
kise lubhaega mere lahu ka wawaila
mere nazar badan mein lahu hi kitna hai
charagh ho koi raushan na koi jam bhare
na is se aag hi bhaDke na us se pyas bujhe
mere figar badan mein lahu hi kitna hai
magar wo zahr-e-halahal bhara hai nas nas mein
jise bhi chhedo har ek bund qahr-e-afi hai
har ek kashid hai sadiyon ke dard o hasrat ki
har ek mein mohr-ba-lab ghaiz o gham ki garmi hai
hazar karo mere tan se ye sam ka dariya hai
hazar karo ki mera tan wo chob-e-sahra hai
jise jalao to sehn-e-chaman mein dahkenge
bajae-sarw-o-saman meri haDDiyon ke babul
ise bikhera to dasht-o-daman mein bikhregi
bajae-mushk-e-saba meri jaan-e-zar ki dhul
hazar karo ki mera dil lahu ka pyasa hai
Nazm
Hazar karo mere tan se
Faiz Ahmad Faiz