bahut din se
kai an-dekhe ilzamat ke bais
hawa matlub hai hum ko
hawa tarik raaton mein
hamare KHwab le jati hai
aur wapas nahin karti
hamare KHat churaati hai
hamare dil ki baaten
rah-giron ko sunati hai
hamare git
maidanon gali kuchon mein gati hai
hum apne dil ke
zang-alud KHanon mein
mohabbat joD ke rakhte hain
lekin sham hote hi
hawa ek narm jhonke se
ye KHane khol leti hai
wahan jo kuchh hai le jati hai
aur hum se ijazat tak nahin leti
mohabbat qarz hai
ye baat kahne ki
hamein mohlat nahin deti
hamein kaghaz pe apna nam
apne zimme wajib KHwab
likhne ki suhulat tak nahin deti
hawa par jurm ko sabit hue
muddat hui shayad
hawa mafrur hai jab se
hawa aai to hum us ko
kisi andhe kuen mein band kar denge
ya ek tarik tah-KHane mein le ja kar
samundar se ziyaada be-karan
tanhai ka paband kar denge
agar mumkin hua to hum hawa ko
KHushk patton ki tarah se
KHak ka paiwand kar denge
Nazm
Hawa
Zeeshan Sahil