roz-o-shab ka waqfa karb-o-musarrat
sham kahte hain jise
kyunkar guzaren
qarz sanson ka utaren ya ruKH-e-hasti
nikhaaren
kaun hai dil ke siwa us karb-e-raaz-e-pikaran
main apne sath
ab kise aawaz den kis ko pukaren
sham-bhar ki fursat-e-gham yun guzaren
dhul mein aTe hue ek raste par ek
goshe ke KHala mein kaenat aabaad hai ek
chae-KHane ki jahan din Dhalte aae din
hawa-e-sham mezon kursiyon ki daera
dar daera shaKHon mein phaila ek shajar-e-gham
ka uga deti hai
jis ke sae mein bikhre hue patton ki surat
sare din ki sang-bari se shikasta
reza reza aaine bikhre hue milte hain
jin ke sare zaKHmi aks apni ruh ke
apni ana ke aarzuon KHwahishon
mahrumiyon aur hasraton ke ujDe aalam hain
wahi hai rahguzar pathrili sanson ki wahi
bipta wahi hum hain
wahi hai zindagi
is tund-KHu bezar buDhe ki tarah
jo apne mathe par shikan Dale KHafa baiTha hai sab se
aur sab mein
chae ke kaDwe kasile ghunT pyalon mein unDele
banTta hai
aur har pyale mein us ke mathe ki taza shikan ka aks hai
ye zindagi
har sham us buDhe ki manind apna mela aks dohraati hai
aur ye zindagi
ek tez-pa maghrur motor-kar ki surat KHas-o-KHashak
ke baadal uDati aur hamare chashm-o-sar mein jhonkti hai
hum chale aate hain phir bhi sham ke us dast mein jis ke
musafir har tarah ke log hain
kuchh log jo ek chae ki pyali se aane wale din ki
kaamrani ka
munawwar aks le jate hain jin ki guftugu hi besh-o-kam ke fikr se
aage nahin baDhti
Nazm
Hawa lauTe to puchhen
Rafiq Khawar Jaskani