hawa jab tez chalti hai
shikasta KHwab jab maTiyale raston par
murad-e-amn pakaDte hain
jhuki shaKHon ke honTon par
kisi bhule hue naghme ki tanen
jab ulaTti hain
guzishta wahm ki aankhen mere sine mein girti hain
sitare jab larazte hain
meri aankhon ki sarhad par
ufuq dhund lane lagta hai
mahak aate dinon ki phail jati hai
masham-e-jaan mein ek munh-zor KHwahish
maut ban kar jagti hai jab
guzishta wahm ki aankhen mere sine mein girti hain
gale jab waqt milte hain
tere mere zamanon ke parinde
uDne lagte hain
sahar jab dhimi dhimi dastakon mein
nind ki jholi mein girti hai
main tere hath
KHwabon ke phisalte lams par mahsus karta hun
tere honTon ki larzish
mujh se ruKHsat mein lipaTti hai
main tujh ko dekh sakta hun
mujhe phir mil sakega wahima
jis qaid mein aa kar
meri umren sanwarti hain
wo mausam jis mein tere nam ki KHushbu
meri sansen bhigoti hai
wahi ek sham
jis aanchal mein mera dil dhaDakta hai
wahi ek zindagi jis mein
guzishta wahm ki aankhen mere sine mein girti hain
Nazm
Hawa jab tez chalti hai
Abrar Ahmad