tahsin ke talib nahin ausaf-e-KHuda-dad
aafaq hila deti hai haq-kesh ki fariyaad
aabaad kahan halqa-e-sheri ki faza mein
but-KHana-e-mani ki sanam-e-KHana-e-bahzad
miT jaega aiwan-e-tafaKHur ka takalluf
yak shola-e-jawwala hai aah-e-dil-e-nashad
zargham hai rubah ke zarrin qafas mein
aazad hain paband giraftar hain aazad
ghazi ne kaha luT lo but-KHana-e-daulat
sufi ne kaha chhoD do ishrat gah-e-shaddad
tezab-e-siyasat mein KHudi jis ki hui gharq
wo kaghzi lobat bane kya paikar-e-faulad
hajat ke but-KHana-e-tazwir hazaron
bandon ne tere nam pe kar Dale hain ijad
luT jata hai har gam pe ismat ka KHazana
dilkash bahut hai mana ki har raqs-e-pari-zad
jamhur ki tahzib se iKHlas hai madum
imroz nai nasl ko allah nahin yaad
jamhur ki barakat se hue aadmi nange
science ne sau fitna-e-mahshar kiye ijad
Nazm
Haq-kesh ki fariyaad
Bebak Bhojpuri