hamein har roz
phul KHaridne chahiyen
aur mom-battiyan
aur pani ki KHali botalen
aur plastic ke bartan
jang mein koi bhi chiz kaam aa sakti hai
hamein khilaune nahin KHaridne chahiyen
kitabon ki taraf nahin dekhna chahiye
dhup ke chashme aur chhatriyan chhupa deni chahiyen
gas-lighter bhi chhupa dene chahiyen
hamein apni jeb mein biscuit
aur machis ki Dibiya hamesha rakhni chahiye
kisi ko dene ya kuchh jalane ke liye
ek rumal bhi zaruri hai
zaKHmi ungliyon ya jalti hui aankhon ke liye
ek post-card rozana
latter-box mein Dal dene chahiye
Dak nizam bahaal hone par
hamari KHairiyat doston tak pahunch jaegi
shayad wo hamari talash mein idhar aa jaen
jahan bar bar Dhone wale log
khoe hue hain
Nazm
Hamein har roz
Zeeshan Sahil