us inT ko bhul jaana chahiye
jis ke niche hamare ghar ki chabi hai
jo ek KHwab mein TuT gaya
hamein bhul jaana chahiye
us bose ko
jo machhli ke kanTe ki tarah hamare gale mein phans gaya
aur nahin nikalta
us zard rang ko bhul jaana chahiye
jo suraj-mukhi se alahida diya gaya
jab hum apni dopahar ka bayan kar rahe the
hamein bhul jaana chahiye
us aadmi ko
jo apne faqe par
lohe ki chadaren bichhata hai
us laDki ko bhul jaana chahiye
jo waqt ko
dawaon ki shishon mein band karti hai
hamein bhul jaana chahiye
us malbe se
jis ka nam dil hai
kisi ko zinda nikala ja sakta hai
hamein kuchh lafzon ko bilkul bhul jaana chahiye
maslan
bani-nau-e-insan
Nazm
Hamein bhul jaana chahiye
Afzal Ahmad Syed