agar hamare dukhon ka ilaj
nind hai
to koi hum se ziyaada gahri nind nahin so sakta
aur na hi itni aasani aur KHub-surati se
koi nind mein chal sakta hai
agar hamare dukhon ka ilaj
jagna hai
to hum is qadar jag sakte hain
ki har raat hamari aankhon mein aaram kar sakti hai
aur har darwaza
hamare dil mein khul sakta hai
agar hamare dukhon ka ilaj
hansna hai
to hum itna hans sakte hain
ki parinde, daraKHton se uD jaen
aur pahaD hamari hansi ki gunj se bhar jaen
hum itna hans sakte hain
ki koi masKHara ya pagal
is ka tasawwur tak nahin kar sakta
agar hamare dukhon ka ilaj
rona hai
to hamare pas itne aansu hain
ki in mein sari duniya ko Duboya ja sakta hai
jahannam bujhae ja sakte hain
aur sari zamin ko pani diya ja sakta hai
agar hamare dukhon ka ilaj
jina hai
to hum se ziyaada ba-mani zindagi
kaun guzar sakta hai
aur kaun aise saliqe aur aziyyat se
is duniya ko dekh sakta hai
agar hamare dukhon ka ilaj
bolna hai
to hum hawa ki tarah guftugu kar sakte hain
aur apne lafzon ki KHushbu se
phul khila sakte hain
aur agar tum kahte ho:
hamare dukhon ka ilaj kahin nahin hai
to hum chup rah sakte hain
qabron se bhi ziyaada
Nazm
Hamare dukhon ka ilaj kahan hai
Abrar Ahmad