wo ek shaKHs jis ki shabahat se mujh ko
bahut KHwar o sharminda hona paDa tha
qaba ruh ki malgaji ho gai thi
kai bar daman ko dhona paDa tha
wo mujh jaisi aankhen jabin honT abru
ki baqi na tha kuchh bhi farq-e-man-o-tu
wahi chaal aawaz qad rang maddham
wahi tarz-e-guftar Thahrao kam kam
KHuda jaane kya kya mashaghil the us ke
mere pas log aae aa aa ke lauTe
kai mujh se uljhe kai mujh se jhagDe
main rota raha be-gunahi ka rona
mere jurm par log the qahqaha-zan
na kaam aaya apni tabahi ka rona
wo zulmat mein chhup chhup ke din kaTta tha
main din ke ujale mein mara gaya tha
suna raat wo mar gaya kya ghazab hai
use dafn kar aae logon ko dekho
main kam-baKHt nazron se ojhal hi kab tha
ye kya kar diya hae logon ko dekho

Nazm
Ham-zad
Shaz Tamkanat