jab wo apne gharon se nikle
un ke saron pe kafan bandha tha
dilon mein josh
aankhon mein be-KHaufi
qabile ki buzurg-tarin hasti ne pukarna chaha
apni talwaren lete jao
lekin un ke patthar hone ka Dar tha
jab wo apni bastiyon se nikle
un ke sinon mein dabi hui aahen thin
honTon pe larzishen
hath duaon ke liye daraaz
us ne pukarna chaha
apne razm-name lete jao
lekin KHamosh rahi
jab wo sarhadon pe pahunche
un ki aankhon mein taswiren thin
dilon mein hasraten
qadmon mein laghzishen
us ne bahut chaha ki unhen na pukare
apni loriyan lete jao
sabhon ne muD kar us ki taraf dekha
aur kaha
hum patthar nahin hain

Nazm
Hum patthar nahin hain
Shahnaz Nabi