zehn ki zaminon mein jaDen phailata ye sawal
ki hum kyun likhte hain?
be-kar mein apne waqt ki daulat luTa kar
taKHliqi karb ke nae zaichon mein
KHud ko kyun qaid karte hain?
main sochta hun
ki adalat mein jab mujrim pesh hota hai
ye jaante hue bhi ki wahi mujrim hai
us ka bayan kyun likha jata hain?
gawahon ki shahadat kyun tahrir ki jati hai?
magar steno se koi nahin puchhta
ki tum ye sab kyun likhte ho?
shayad is liye ki sab jaante hain
in bayanat ke andar hi
mujrim ki saza-jaza ke sabhi naqshe tartib pate hain
hum is liye likhte hain
ki viraniyon ki barish mein
jazbe jab dilon se hijrat kar jate hain
jab surKH chehre wale jismon ke andar kahin
safed barish hone lagti hai
jab unchi diwaron ke bich
kisi kuTiya mein chupke se
roz an-ginat KHwahishen dafnai jati hain
aur kitne hi laghar badanon ke andar
bhuk chhup kar unhen khati rahti hai
jab chiKHon ke hazaron lashkar
aanganon par chaDhai karte hain
to waqt udasi ke sahife liye
in hadson ka chashm-did gawah ban kar
ahl-e-qalam ke pas apni gawahi likhwane aata hai
hum waqt ki sachchi shahadat likh kar
maashre ki saza-jaza ke
raston ki nishan-dahi karte hain
magar hairan hun
phir bhi puchha jata hai
ki hum kyun likhte hain
Nazm
Hum kyun likhte hain?
Muneer Ahmad Firdaus