اردو हिंदी
Hum ki ek bhes liye phirte hain | Shaahi Shayari
hum ki ek bhes liye phirte hain

Nazm

Hum ki ek bhes liye phirte hain

Abrar Ahmad

;

kaun se des ki babat puchhe
waqt ke dasht mein phirti

ye KHunuk sard hawa
kin zamanon ki ye madfun mahak

bad-numa shahr ki galiyon mein uDi phirti hai
aur ye dur talak phaili hui

nind aur KHwab se bojhal bojhal
eatibar aur yaqin ki manzil

jis ki taid mein har shai hai
baqa hai lekin

apne manzar ke andheron se pare
hum KHunuk sard hawa sun bhi saken

hum ki kis des ki pahchan mein hain
hum ki kis lams ki taid mein hain

hum ki kis zoam ki taufiq mein hain
hum ki ek zabt-e-musalsal hain

zamanon ke abad se larzan
wahm ke ghar ke makin

apne hi des mein pardes liye phirte hain
hum ki ek bhes liye phirte hain