hum dinon ikaTThe rahte hain
ikaTThe sote hain
hamare dukh sukh ek hain
hamari aanhken ek dusre ke KHwab
dekh leti hain
hum kahin bhi hon
ek dusre ke namon se jaane jate hain
hamare ghar aane wale
apni dastak mein donon ka nam
shamil kar lete hain
din ke pahle hisse mein
hamari aanhken
ek dusre ko KHush-amdid kahti hain
ab lafz hamare darmiyan
chup rahte hain
hamari sanson ka rhythm
jism ki harakat se
ek dusre ke hone ka itminan dilata hai
hum akasr
ab ek dusre ki nind so lete hain
lekin
is ke bawajud akasr
gahri raaton mein
hamare dil
apne apne sinon mein
alag alag dhaDakte hue
sunai dete hain
Nazm
Hum donon
Azra Abbas