bahut si aawaz jama kar ke
ek chiKH banai ja sakti hai
bahut thoDe lafzon se
ek baghi nazm banai ja sakti hai
lekin
zinda qabristan mein ek nazm ka katba kafi nahin
qabren dam sadhe paDi hain
hamari maen murda bachchon ko janm de rahi hain
lashen shanaKHt karte hue hujum apna chehra
bhul jata hai!
hum zindagi se sohbat karne nikle the
aur zindagi ne hamare KHusiyon se kenche bana liye
hamare lahu mein chyunTiyan rengti hain
magar hum apni marzi se khujli tak nahin kar sakte
qatar mein khaDe khaDe hum dusron se muKHtalif kaise ho gae!!!
zindagi mizan hoti to hum us ke palDe apne wajudon se bhar dete
magar kya karen ki hum KHud apni nazron mein bahut be-wazn the
hatheliyon mein suraKH hon to aankhen kahan sambhaalen
hum ne sirf chehre nibhae rishte nahin
pyasi zaminon mein aansu kasht kar ke bhi
bund bhar hariyali nahin khili
hum sari umr apne KHwabon ke jolahe bane rahe
aur apne bachchon ke liye ek saya-dar parcham na bun sake
hamari miTTi mahz miTTi rahi
kabhi watan na ban pai!!!
Nazm
Hum be-watan KHwabon ke jolahe hain
Anjum Saleemi