اردو हिंदी
Ham-asr | Shaahi Shayari
ham-asr

Nazm

Ham-asr

Sahir Ludhianvi

;

tu bhi kuchh pareshan hai
tu bhi sochti hogi

tere nam ki shohrat tere kaam kya aai
main bhi kuchh pasheman hun

main bhi ghaur karta hun
mere kaam ki azmat mere kaam kya aai

tere KHwab bhi sune
mere KHwab bhi sune

teri meri shohrat se
tere mere gham dune

tu bhi ek sulagta ban
main bhi ek sulagta ban

teri qabr tera fan
meri qabr mera fan

ab tujhe main kya dunga
ab mujhe tu kya dega

teri meri ghaflat ko
zindagi saza degi

tu bhi kuchh pareshan hai
tu bhi sochti hogi

tere nam ki shohrat tere kaam kya aai
main bhi kuchh pasheman hun

main bhi ghaur karta hun
mere kaam ki azmat mere kaam kya aai