اردو हिंदी
Hairani ka bojh | Shaahi Shayari
hairani ka bojh

Nazm

Hairani ka bojh

Shaheen Gazipuri

;

miTTi ki diwar pe ek khunTi se laTki
meri yaadon ki zambil

jis mein chhupe the
rang-birange kapDon ke bosida katran

gol gol si nannhi munni kar dhaniyon ke dane
ek amrud ki Dali kaT ke baba ne jo banai thi

wo teDhi-meDhi ek ghulail
nile pile maTiyale aur lal paron ki Dheri

chauDe munh ka ek munh zor sa kaTh ka aDiyal ghoDa
apni akaD mein khata hua bagghi wale ka koDa

itni muddat baad jo kholi main ne wo zambil
ek nanha is mein se nikal kar jaise sarpaT bhaga

dekhta tha pichha hi wo apna aur na apna aaga
aur ulajhta jata jitna khulta lipTa dhaga

jaise bhayanak sapne dekhe kai dinon ka jaga
ab ke phir wo nazar aaya to sargoshi mein puchhunga

tum to mere yar the phir kyun
salon sal nahin milne ko

apne shuur ki hairani ka bojh uThae
jaane kitni kaThin rahon se guzarte ho

jag walon par hanste ho ya chhup chhup aahen bharte ho
basti chhoD ke jangal jangal rain basera karte ho

ya phir ek patal ki nichli tah mein utar ja marte ho
shayad tum bhi gautam ho aur apne aap se Darte ho