in hathon ki tazim karo
in hathon ki takrim karo
duniya ke chalane wale hain
in hathon ko taslim karo
tariKH ke aur mashinon ke pahiyon ki rawani in se hai
tahzib ki aur tamaddun ki bharpur jawani in se hai
duniya ka fasana in se hai, insan ki kahani in se hai
in hathon ki tazim karo
sadiyon se guzar kar aae hain, ye nek aur bad ko jaante hain
ye dost hain sare aalam ke, par dushman ko pahchante hain
KHud shakti ka autar hain, ye kab ghair ki shakti mante hain
in hathon ko tazim karo
ek zaKHm hamare hathon ke, ye phul jo hain gul-danon mein
sukhe hue pyase chullu the, jo jam hain ab mai-KHanon mein
TuTi hui sau angDaiyon ki mehraben hain aiwanon mein
in hathon ki tazim karo
rahon ki sunahri raushniyan, bijli ke jo phaile daman mein
fanus hasin aiwanon ke, jo rang-o-nur ke KHirman mein
ye hath hamare jalte hain, ye hath hamare raushan hain
in hathon ki tazim karo
KHamosh hain ye KHamoshi se, so barbat-o-chang banate hain
taron mein rag sulate hain, tablon mein bol chhupate hain
jab saz mein jumbish hoti hai, tab hath hamare gate hain
in hathon ki tazim karo
eajaz hai ye in hathon ka, resham ko chuen to aanchal hai
patthar ko chuen to but kar den, kalakh ko chuen to kajal hai
miTTi ko chuen to sona hai, chandi ko chuen to payal hai
in hathon ki tazim karo
bahti hui bijli ki lahren, simTe hue ganga ke dhaare
dharti ke muqaddar ke malik, mehnat ke ufuq ke sayyare
ye chaaragaran-e-dard-e-jahan, sadiyon se magar KHud bechaare
in hathon ki tazim karo
taKHliq ye soz-e-mehnat ki, aur fitrat ke shahkar bhi hain
maidan-e-amal mein lekin KHud, ye KHaliq bhi meamar bhi hain
phulon se bhari ye shaKH bhi hain aur chalti hui talwar bhi hain
in hathon ki tazim karo
ye hath na hun to mohmal sab, tahriren aur taqriren hain
ye hath na hon to be-mani insanon ki taqriren hain
sab hikmat-o-danish ilm-o-hunar in hathon ki tafsiren hain
in hathon ki tazim karo
ye kitne subuk aur nazuk hain, ye kitne siDaul aur achchhe hain
chaalaki mein ustad hain ye aur bhole-pan mein bachche hain
is jhuT ki gandi duniya mein bas hath hamare sachche hain
in hathon ki tazim karo
ye sarhad sarhad juDte hain aur mulkon mulkon jate hain
banhon mein banhen Dalte hain aur dil se dil ko milate hain
phir zulm-o-sitam ke pairon ki zanjir-e-giran ban jate hain
in hathon ki tazim karo
tamir to in ki fitrat hai, ek aur nai tamir sahi
ek aur nai tadbir sahi, ek aur nai taqdir sahi
ek shoKH o hasin KHwab aur sahi ek shoKH o hasin tabir sahi
in hathon ki tazim karo
in hathon ki takrim karo
duniya ko chalane wale hain
in hathon ko taslim kara
Nazm
Hathon ka tarana
Ali Sardar Jafri