اردو हिंदी
Guzra hua din | Shaahi Shayari
guzra hua din

Nazm

Guzra hua din

Muneebur Rahman

;

kal ka guzra hua din phir mere ghar aaya hai
na-gahan sine ka har dagh ubhar aaya hai

ghumti phirti hai aawara chameli ki mahak
chand aangan mein dabe panw utar aaya hai

kis ke honTon ke tabassum se bikharte hain gulab
kaun hamrah liye baad-e-sahar aaya hai

jhuT-puTa chha gaya bosida gharon ke upar
dur se chal ke koi KHak-basar aaya hai

kis ke ezaz mein ye sae nikal aae hain
aaj kya bazm mein wo KHasta-jigar aaya hai

ek mehman hai jo aa ke chala jaega
dil-e-bimar use dekh ke bhar aaya hai