main is duniya ke mele mein
khilaunon ki dukanon par saje ek ek khilaune ko baDi hasrat se takta ja raha hun
us ek bachche ki surat jis ko ye malum tak hota nahin wo kho gaya hai
wo jin ke sath aaya tha wo us ko DhunDte phirte hain
lekin wo to is mele mein chalta ja raha hai
bina soche ki us ke chalte jaane ka bhala anjam kya hoga
bina jaane ki jab Dhal jaega din aur hogi sham
kya hoga
Nazm
Gum-shuda
Ameer Imam