اردو हिंदी
Gulshan-e-na-afrida | Shaahi Shayari
gulshan-e-na-afrida

Nazm

Gulshan-e-na-afrida

Shahnaz Nabi

;

badan ke jharoke mein jitni nigahen lagi hain
meri hain

koi aur kab sochta hai
ki gham-KHana-e-'mir' ke us taraf

ek hansta mahakta baghicha bhi hai
kitni an-chhui kaliyan

jawan titliyan
ras-bhari jhumti Daliyan

sondhi miTTi ki ham-jins KHushbu
labaalab si ek baoli

jaane kya kuchh
magar wo jharoka

ki jis ka mere dil se ek wasta hai
abhi band hai

kaam nazuk hai aafaq ki kar-gah ka