bahaar ki ye dil-awez sham
jis ki taraf
qadam uThae hain main ne
ki us se hath milaun
aur ek shagufta shanasai ki bina rakkhun
phir apni KHana-badoshi ki mushtarak lai par
use gulab-ba-kaf KHema-e-junun tak laun
kuchh us ki KHair KHabar puchhun
aur kuchh apni kahun
kahun ki kitne hi patjhaD ke mausam aae gae
magar in aankhon ki sahr-ul-bayaniyan na gain
kahun ki garche anasir ne tohmaten bandhin
junun zadon ki magar saKHt-jaaniyan na gain
kahun ki ek hain andeshe sab mere tere
kahun alag nahin jine ke Dhab mere tere
kahun ki ek se hain roz-o-shab mere tere
kahun ki milte hain nam-o-nasab mere tere
kahun azal se junun karobar apna hai
hazar jabr ho kuchh iKHtiyar apna hai

Nazm
Gulab-ba-kaf
Shaheen Gazipuri