اردو हिंदी
Gul | Shaahi Shayari
gul

Nazm

Gul

Moin Ahsan Jazbi

;

ai gul-e-rangin-qaba ai ghaza-e-ru-e-bahaar
tu hai KHud apne jamal-e-husn ka aaina-dar

hae wo tere tabassum ki ada waqt-e-sahar
subh ke tare ne apni jaan tak kar di nisar

sharm ke mare gulabi hai idhar ru-e-shafaq
shabnam-agin hai idhar peshani-e-subh-e-bahaar

yun nigar-e-mahr tere samne aaya to kya
laDkhaData sar jhukae zard ru simab-war

KHamushi teri ada hai, sadgi fitrat mein hai
phir bhi jo tera harif-e-husn hai, hairat mein hai

ai gul-e-nazuk-ada, ai KHanda-e-subh-e-chaman
chumti hai tere honTon ko nasim-e-mushk-e-tan

gher len jaise urus-e-nau ko ham-sin laDkiyan
yun tujhe ghere hue hain nau-nihaalan-e-chaman

wadiyon mein tu, bayabanon mein tu, basti mein tu
raunaq-e-har-mahfil o zinat-dah-e-har-anjuman

ye ada-e-sadgi, mahbubiyat, masumiyat
tu rah-e-hasti mein kis andaz se hai gamzan

josh-e-sarmasti mein wo mauj-e-saba ki chheD-chhaD
wo tere aariz pe ek halke tabassum ki shikan

tu zamin-e-rang-o-bu, tu aasman-e-rang-o-bu
muKHtasar ye hai ki tu hai ek jahan-e-rang-o-bu