kahin to karwan-e-dard ki manzil Thahar jae
kinare aa lage umr-e-rawan ya dil Thahar jae
aman kaisi ki mauj-e-KHun abhi sar se nahin guzri
guzar jae to shayad bazu-e-qatil Thahar jae
koi dam baadban-e-kashti-e-sahba ko tah rakkho
zara Thahro ghubar-e-KHatire-mahfil Thahar jae
KHum-e-saqi mein juz zahr-e-halahal kuchh nahin baqi
jo ho mahfil mein is ikram ke qabil Thahar jae
hamari KHamushi bas dil se lab tak ek waqfa hai
ye tufan hai jo pal bhar bar-lab-e-sahil Thahar jae
nigah-e-muntazir kab tak karegi aaina-bandi
kahin to dasht-e-gham mein yar ka mahmil Thahar jae
Nazm
Ghubar-e-KHatir-e-mahfil Thahar jae
Faiz Ahmad Faiz