tumhaare dukh ne
mere andar ek shahr-e-matam daryaft kiya
jahan har roz mere janm par jashn-e-girya manaya jata hai
tum apni hansi ka tohfa
kali inTon se banae gae us taq
mein rakh do
jahan charagh ki KHamoshi
aur raat ki siskiyan sanpon ki tarah
sarsaraati hain
han!! sanpon se yaad aaya
aaj sanpon se visal ki raat hai
aansu KHushk hain ghusl kaise karun?
mere zaKHmon se girne wale kiDe
mere sae se baDe ho rahe hain
mujhe apni nigahbani ka mat kaho
main to KHud apni hifazat mein chori ho jata hun
shiryanon ke sad-rahe par lahu rasta
bhul gaya hai
shahr mujhe meri aankh se nahin dekhta
aaina mujh par nigah paDte hi be-aks ho jata hai
dekho
raat ke kashkol mein
ek nigah ki bhik bhi nahin
pure chand ko tanhai ne toD Dala
ab us ki kirchiyan meri ashtray
mein paDi hain
kaho ki kya kahun?
aawazon ke nilam-ghar mein mujhe to
chup lag jati hai!
Nazm
Girya
Anjum Saleemi