chalo phir se muskuraen
chalo phir se dil jalaen
jo guzar gain hain raaten
unhen phir jaga ke laen
jo bisar gain hain baaten
unhen yaad mein bulaen
chalo phir se dil lagaen
chalo phir se muskuraen
kisi shah-nashin pe jhalki
wo dhanak kisi qaba ki
kisi rag mein kasmasai
wo kasak kisi ada ki
koi harf-e-be-murawwat
kisi kunj-e-lab se phuTa
wo chhanak ke shisha-e-dil
tah-e-baam phir se TuTa
ye milan ki na milan ki
ye lagan ki aur jalan ki
jo sahi hain wardaten
jo guzar gain hain raaten
jo bisar gai hain baaten
koi un ki dhun banaen
koi un ka git gaen
chalo phir se muskuraen
chalo phir se dil jalaen
Nazm
Git
Faiz Ahmad Faiz