KHun-chashida sadiyon ka wo ghor-andhera bikhar gaya
jang-o-jadal ka jazba jaga amn ka parcham utar gaya
nisf sadi Dhalne ko hai wo raat Dhale
phir bhi lahu ka biphra dariya jari hai
masumon ke nalon se
mazlumon ki aahon se
insanon ki chiKHon se
tharraate hain virane
sach kahta hai raat Dhali
raat Dhali ya KHun mein Dubi hawa chali
teri bani tu jaane
hum to Thahre diwane
koi mane ya na mane sau baaton ki baat hai ye
biti shab thi pal do pal ki ek sadi ki raat hai ye
Nazm
Ghor andhera
Akhtar Rahi