اردو हिंदी
Ghani raat | Shaahi Shayari
ghani raat

Nazm

Ghani raat

Umar Farooq

;

chalo charagh bujha kar zara sa dekhen hum
ye kaenat kise DhunDne nikalti hai

siyah raat ki tarikiyan batati hain
ki sab ujale ghani raat ke musafir hain

jo din ke sath safar ke liye nikalte hain