husn jab afsurda phulon ki tarah pamal tha
jab mohabbat ka ghalat duniya mein istimal tha
be-KHudi ke nam par jab daur-e-jam-e-baada tha
jab taljalli-e-haqiqat se har ek dil sada tha
zist ka aur maut ka idrak duniya ko na tha
zulm ka ehsas jab be-bak duniya ko na tha
band aankhen kar ke is duniya ke makruhat se
tu ne hasil ki ziya-e-dil, tajalliyyat se
barf-zaron ko tere anfas ne garma diya
tere istighna ne taKHt-e-saltanat Thukra diya
yaad teri aaj bhi hindustan mein taza hai
chin, japan aur tibbat tak tera aawaza hai
raushni jis ki na hogi mand wo mashal hai tu
sar-zamin-e-hind ka irfani-e-awwal hai tu
Nazm
Gautam-budh
Seemab Akbarabadi