gharibon ki faqa-kashon ki sada hai
mare ja rahe hain
amiron ke aishon ka ambar sar par
lade hain zamane ke afkar sar par
zamindar kandhe pe sarkar sar par
mare ja rahe hain
sharabon ke rasiya amiron ka kya hai
hanse ja rahe hain
gharibon ki mehnat ki daulat chura kar
gharibon ki rahat ki duniya miTa kar
mahal apne ghaarat-gari se saja kar
hanse ja rahe hain
gharibon ne sambandh mil kar kiya hai
KHushi baDh gai hai ki gham baDh rahe hain
nigahon se aage qadam baDh rahe hain
sambhalna amiro ki hum baDh rahe hain
baDhe ja rahe hain
Nazm
Gharibon ki sada
Mohammad Deen Taseer