wahi hai shor-e-hae-o-hu, wahi hujum-e-mard-o-zan
magar wo husn-e-zindagi, magar wo jannat-e-watan
wahi zamin, wahin zaman, wahi makin, wahi makan
magar surur-e-yak-dili, magar nashat-e-anjuman
wahi hai shauq-e-nau-ba-nau, wahi jamal-e-rang-rang
magar wo ismat-e-nazar, tahaarat-e-lab-o-dahan
taraqqiyon pe garche hain, tamaddun-o-muashrat
magar wo husn-e-sadgi, wo sadgi ka bankpan
sharab-e-nau ki mastiyan, ki al-hafiz-o-al-aman
magar wo ek latif sa surur-e-baada-e-kuhan
ye naghma-e-hayat hai ki hai ajal tarana-sanj
ye daur-e-kaenat hai ki raqs mein hai ahrman
hazar-dar-hazar hain agarche rahbaran-e-mulk
magar wo pir-e-naujawan, wo ek mard-e-saf-shikan
wahi mahatma wahi shahid-e-amn-o-ashti
prem jis ki zindagi, KHulus jis ka pairahan
wahi sitare hain, magar kahan wo mahtab-e-hind
wahi hai anjuman, magar kahan wo sadr-e-anjuman
Nazm
Gandhi-ji ki yaad mein!
Jigar Moradabadi