kabhi retile KHushk maidan mein
koi baadal ka aawara TukDa
kisi ghar se bhage hue pyare bachche ki manind
aawargi karta karta
zamanon se sukhi hui ret ko pyar se dekhta hai
wo achchhi tarah jaanta hai
ki is ret ke KHushk sine mein dil hai
jo apni tabahi pe rota nahin hai
jo kahta nahin hai
ki aao mujhe is gaDhe se nikalo
mere munh ko dho kar
meri mang mein sabz patton ka chandan bharo
wo baadal ka aawara TukDa
jo bachchon ki manind masum hai
apni kajal lagi bhigi aankhon se us ki taraf dekhta hai
wo rota hai
aur us ke aansu
sulagti hui ret ke KHushk sine mein halchal machate hain
KHushbu luTate hain
aur un ki KHushbu
musafir akele musafir se kahti hai
chalte raho
abhi zindagi mein nami hai
abhi sard jhonkon ka sailab soya nahin hai
Nazm
Gamzan
Shahzad Ahmad