ek din 'ghaalib' ke paDh kar sher mary ahliya
mujh se boli aap to kahte the in ko auliya
aashiq-e-bint-e-enab ko aap kahte hain wali
faqa-masti mein bhi har dam kar raha hai mai-kashi
pujne se mah-jabinon ke ye baz aata nahin
aur phir kafir kahe jaane se sharmata nahin
koi bhi mahwash akele mein agar aa jae hath
chheDKHwani kar diya karta tha aksar us ke sath
bad-gumani ka agar mahbub ki hota na Dar
us ke pairon ka wo bosa leta rahta raat bhar
koi rakhta tha agar us se zara sharm-o-hijab
roab dikhlane ko us se kah diya karte janab
ham se khul jao ba-waqt-e-mah-parasti ek din
warna hum chheDenge rakh kar uzr-e-masti ek din
gar kisi mehman ke aane ki hoti thi KHabar
boriya tak bhi nahin hota tha us nange ke ghar
is liye chhai hui thi us ke ghar mein muflisi
kal ke Dar se aaj pine mein na karta tha kami
mai-kashi ko gar koi saqi nahin deta tha jam
ok se pi kar hi wo apna chala leta tha kaam
marte marte bhi sharab us ki na ho pai thi kam
jam ko takta raha jab tak raha aaankhon mein dam
us ke is kirdar par mujh se na karna guftugu
KHak mein jis ne mila di KHandani aabru
is qadar pahunche hue shaer ka ye kirdar hai
sher kahna chhoD dije shaeri be-kar hai
is se pahle ki mera barbaad ho jae ye ghar
aap bas ghar mein rahen sher-o-adab ko chhoD kar
mai-kashi aur aap hon matlub-o-talib ki tarah
sochti hun aap ho jaen na 'ghaalib' ki tarah
Nazm
Ghaalib ka postmortem
Nashtar Amrohvi