balli-maran ke mohalle ki wo pechida dalilon ki si galiyan
samne Tal ki nukkaD pe baTeron ke qaside
guDguDati hui pan ki pikon mein wo dad wo wah wa
chand darwazon pe laTke hue bosida se kuchh TaT ke parde
ek bakri ke mimyane ki aawaz
aur dhundlai hui sham ke be-nur andhere sae
aise diwaron se munh joD ke chalte hain yahan
chuDi-walan kai kaTre ki baDi-bi jaise
apni bujhti hui aankhon se darwaze TaTole
isi be-nur andheri si gali-qasim se
ek tartib charaghon ki shurua hoti hai
ek quran-e-suKHan ka safha khulta hai
asadullah-KHan-'ghaalib' ka pata milta hai
Nazm
Ghaalib
Gulzar