اردو हिंदी
Ghaalib | Shaahi Shayari
ghaalib

Nazm

Ghaalib

Chandar Bhan Kaifi Delhwi

;

'ghaalib' tera kalam nawa-e-sarosh hai
ilham-e-ghaib-o-naghma-e-saz-e-KHamosh hai

aisa bhara hua hai ghazal mein singar-ras
ek jannat-e-samaa hai firdaus-e-gosh hai

aasan nahin jamal-e-maani ka dekhna
har shahid-e-KHayal tera parda-posh hai

jo baat hai wo shoKHi-e-guldasta-e-chaman
jo lafz hai bahaar-e-kaf-e-gul-farsoh hai

mauj-e-rawan hain misra-e-be-saKHta tere
bahr-e-suKHan mein bahr-e-mohabbat ka josh hai

in motiyon ki qadr hai shahon ke taj mein
parkhe nazar se un ko jo gauhar-farosh hai

kaif-e-suKHan se mast hun teri ghazal sunin
is bazm mein jinhen hawas-e-naw-nosh hai

tu ne chaman chaman mein shagufe khila diye
fitrat tere kalam ki gulshan-ba-dosh hai

afsun-taraaziyan teri munh ki lati rahin
gul ki zaban band hai ghuncha KHamosh hai

baala tera maqam duniya-e-sher mein
'urfi' bhi ek banda-e-halqa-e-ba-gosh hai

duniya tere KHayal mein hai chashma-e-sarab
rangini-e-nishat-o-tarab KHwab-e-dosh hai

teri nazar mein shahid-o-mashhud ek hain
duniya-e-be-KHudi tujhe duniya-e-hosh hai

dana teri nigah mein tha KHirman-e-murad
tujh ko KHabar thi qatre mein dariya ka josh hai

dair-o-haram pe bhi nahin ye raaz munkashif
harf-e-azal hai kaun jo mana-farosh hai

afsurda dagh se hai tere mahfil-e-adab
ne wo surur-o-soz na josh-o-KHarosh hai

kitni tere mazar pe chhai hai bekasi
ek shama ashk-rez thi wo bhi KHamosh hai

chhalki jo thi kabhi tere rangin ayagh se
'kaifi' usi sharab ka ek jura-nosh hai