ba-rang-e-kaif-o-sarshaari hadis-e-dil kaho hamdam!
hama-tan gosh hai saat
sharab-e-shab utarti hai bahut aahista aahista
sifal-e-KHwab mein maddham
tumhein is pal ijazat hai
kaho! yun KHalwat-e-jaan mein bilorin chuDiyan chhan chhan chhanakti shor karti hain
mera dil Dol jata hai
wufur-e-husn mein lipTi tumhaari ambarin zulfen
dhDakna bhul jata hai
kaho! kajal siyah kajal dhanak rangon ka mela hai
kaho! poren KHayalon ki sunahri jild mein jalte diyon par raqs karti hain
surahi-dar gardan par damakti nuqrai mala tumhaare kan ki baali ye jadugar!
ye ishwa-gar
talab ki be-zabani ko ata karte hain goyai
tumhein is pal ijazat hai
kaho yun bhed ke jaise sarakta raat ka aanchal hawa mein sarsaraata hai
sitara shauq ka meri nazar mein jhilmilata hai
kaho! na mausam-e-gul hai, gulabon ki qataron mein damakte shabnami lamhe
tumhaare lams ke pyase
bahr mauj-e-nafas Thahra sukut-e-shauq ka mausam tumhein aawaz deta hai
tamanna git ki surat labon par gungunati hai
mohabbat be-muhaba ek lamhe ko tarasti hai
tamanna be-KHabar! ghafil
fusun-e-KHwab ki muddat bahut thoDi bahut kam hai
Nazm
Fusun-e-KHwab
Naina Adil