yun waqt guzarta hai
fursat ki tamanna mein
jis tarah koi patta
bahta hua dariya mein
sahil ke qarib aa kar
chahe ki Thahar jaun
aur sair zara kar lun
us aks-e-moshajjar ki
jo daman-e-dariya par
zebaish-e-dariya hai
ya baad ka wo jhonka
jo waqf-e-rawani hai
ek bagh ke goshe mein
chahe ki yahan dam lun
daman ko zara bhar lun
us phul ki KHushbu se
jis ko abhi khilna hai
fursat ki tamanna mein
yun waqt guzarta hai
afkar maishat ke
fursat hi nahin dete
main chahta hun dil se
kuchh kasb-e-hunar kar lun
gul-ha-e-mazamin se
daman-e-suKHan bhar lun
hai baKHt magar wazhun
fursat hi nahin milti
fursat ko kahan DhunDun
fursat hi ka rona hai
phir ji mein ye aati hai
kuchh aish hi hasil ho
daulat hi mile mujh ko
wo kaam koi sochun
phir sochta ye bhi hun
ye sochne ka dhanda
fursat hi mein hona hai
fursat hi nahin dete
afkar maishat ke
Nazm
Fursat ki tamanna mein
Hafeez Jalandhari