KHuda-e-lam-yazal ki bargah mein
sar-ba-sujud!
ana ki chaukhaTon mein juDe chehron wale log
peshaniyon par ghaTTe Dalne mein masruf hain
aaTe mein sani muTThiyan
un ki baKHshish ki zamanat hain
ye kaun si jannat-e-naim hai
jis ka rasta
chiyunTiyon ki banabi se ho kar guzarta hai
darbanon aur kutton ko khuli aazadi hai
'jagte raho' ki sadaen
inayaton ka KHiraj wasul karte nahin thakti hain
circus ka panDal khacha-khach bhara hai
maimanon ke baDe mein
sahama-dubkaâ¦ghas khata sher
kaisa be-zarar dikhai deta hai
baunon ki uchhal-kud
falak-shagaf qahqaheâ¦musalsal qahqahe
taliyon ki gunj!
mahal-sara ke band phaTak ko chhu kar lauT aati hai
basti ke jahan-dida buDhe
fariyaadi matam karte
panDal se rawana ho jate hain
Nazm
Fariyaadi matam
Aashufta Changezi