is bhare shahr mein har chiz ki qimat Thahri
dard bik jate hain jazbaat bika karte hain
jagmagate hue sikkon ke ewaz duniya mein
kitne shaer hain jo din raat bika karte hain
ek tera shaer-e-KHuddar nahin bik sakta
meri mahbub tera pyar nahin bik sakta
mere KHakon mein tere husn ki taswiren hain
jumbish-e-zulf teri jumbish-e-lab teri hai
mera haq kya hai jo nilam uThaun in ka
mere ashaar wo daulat hai jo ab teri hai
ab ye sarmaya-e-ashaar nahin bik sakta
meri mahbub tera pyar nahin bik sakta
apne sheron ka chaman nazr kiya hai tujh ko
apna andaz-e-suKHan nazr kiya hai tujh ko
dhaDkanen mere jawan dil ki basi hain jis mein
main ne wo fikr wo fan nazr kiya hai tujh ko
kisi fankar ka kirdar nahin bik sakta
meri mahbub tera pyar nahin bik sakta
Nazm
Fankar
Sabir Dutt