(2)
mat ro bachche
ro ro ke abhi
teri ammi ki aankh lagi hai
mat ro bachche
kuchh hi pahle
tere abba ne
apne gham se ruKHsat li hai
mat ro bachche
tera bhai
apne KHwab ki titli pichhe
dur kahin pardes gaya hai
mat ro bachche
teri baji ka
Dola parae des gaya hai
mat ro bachche
tere aangan mein
murda suraj nahla ke gae hain
chandarma dafna ke gae hain
mat ro bachche
ammi, abba, baji, bhai
chand aur suraj
tu gar roega to ye sab
aur bhi tujh ko rulwaenge
tu muskaega to shayad
sare ek din bhes badal kar
tujh se khelne lauT aaenge
Nazm
Falastini bachche ke liye lori
Faiz Ahmad Faiz