barishen phir zaminon se naraaz hain
aur samundar sabhi KHushk hain
khurduri saKHt banjar zaminon mein kya boiye aur kya kaTiye
aankh ki os ke chand qatron se kya in zaminon ko sairab kar paoge
gandum o jau ke KHoshon ki KHushbu tumhaara muqaddar nahin
aasmanon se tum ko raqabat rahi
aur zaminon se tum be-talluq rahe
riDh ki ek haDDi pe tum ko bahut naz tha
ye guman bhi na tha
ek din be-lahu ye bhi ho jaegi
faisle ki ghaDi aa gai kuchh karo
titliyon ke sunahre hare surKH nile paron ke liye
aankh ki os ke chand qatron se banjar zamin ke kisi goshe mein
phul phir se ugane ki koshish karo
Nazm
Faisle ki ghaDi
Shahryar