hawaen le gain wo KHak bhi uDa ke jise
kabhi tumhaare qadam chhu gae the aur main ne
ye ji se chaha tha daman mein bandh lunga use
suna tha main ne kabhi yun hua hai duniya mein
ki aag lene gae aur payambari pai
kabhi zamin ne samundar ugal diye lekin
bhanwar hi le gae kashti bacha ke tufan se
mein sochta hun payambar nahin agar na sahi
ki itna bojh uThane ki mujh mein tab na thi
magar ye kyun na hua gham mila tha duri ka
to hausla bhi mila hota sang o aahan sa
magar KHuda ko ye sab sochne ka waqt kahan?
Nazm
Fasla
Akhtar-ul-Iman