ek umr hoti hai
jis mein koi laDka ho
ya wo koi laDki ho
sochte hain donon hi
hum hi harf-e-awwal hain
is jahan-e-kohna ko
apni fikr-e-nau se hum
ek lagan ki lau se hum
jis tarah ka chahenge
waisa hi bana lenge
pattharon ko mar-mar ke
paikaron mein Dhaalenge
ek umr hoti hai
jis mein koi laDka ho
ya koi laDki ho
sochte hain donon hi
kitne azm the apne
nazr-e-KHak hain sare
baat damanon ki kya
chaak chaak dil bhi hain
hum ki harf-e-awwal the
harf-e-aKHirin bhi nahin
hum ki aasman se the
zarra-e-zamin bhi nahin
ek umr hoti hai
KHwahishon ki jazbon ki
ek umr hoti hai
kahishon ki sadmon ki
Nazm
Ek umr hoti hai
Ahmad Rahi