ek udas nazm 
mujh se kafan mangti hai 
wo mazid jina nahin chahti 
main use bahut samjhata hun 
wo zid karne lagti hai 
main kafan KHaridne ke liye 
ghar se nikal paDta hun 
koi bhi apni nazm ko 
aankhon ke samne 
marte hue nahin dekh sakta 
main kafan nahin KHaridta 
KHud ko mar Dalta hun 
nazm kafan ke baghair 
apne-ap ko nahin maregi 
wo mera intizar karegi 
intizar kisi ko bhi 
zinda rakh sakta hai
        Nazm
Ek udas nazm
mustafa arbab

