ye aaine ka safar-nama nahin
kisi aur rang ki kashti ki kahani hai
jis ke ek hazar panw the
ye kuen ka ThanDa pani nahin
kisi aur jagah ke jangali chashme ka bayan hai
jis mein ek hazar mashalchi
ek dusre ko DhunD rahe honge
ye juton ki ek narm joDi ka moamla nahin
jis ke talwon mein ek jaanwar ke narm
aur upri hisse mein us ki mada ki khaal ham-juft ho rahi hai
ye ek inT ka qissa nahin
aag pani aur miTTi ka faisla hai
ye ek talwar ki dastan hai
jis ka dasta ek aadmi ka wafadar tha
aur dhaD ek hazar aadamiyon ke badan mein utar jata tha
ye bistar par dhuli dhulai eDiyan ragaDne ka tazkira nahin
ek qatl-e-am ka halfiya hai
jis mein ek aadmi ki ek hazar bar jaan-baKHshi ki gai
Nazm
Ek talwar ki dastan
Afzal Ahmad Syed